My Photo

Humari Kalam Se

Dil ke jazbaat kuch alfaazoin ki zubaani
Also visit: My English Poetry at http://lambency.blogspot.com/
and My Views at Whimsical Discourse (http://khushi.wordpress.com/)

My Photo
Name:
Location: Washington, United States


"With me poetry has not been a purpose, but a passion"

Saturday, February 04, 2006

"Bheedh Mein Tanha"

Iss besabab zindagi ke
mainoin par tavajjou deti hun main
sab khokhla sa lagta hai
paimano ko aansu deti hun main

Jazbaaton se hi zinda hun
Yeh jataa nahin paati hun main
Kyun jeena hai tanha yahaan
Khud ko mana nahin paati hun main.

Unn par haq kho diya
apni bebasi par sharminda hun main
chal rahi hai dhadhkan to
samajh leti hun zinda hun main.

Insaaniat ke paak jazbe mein
kyun kissi se zillat sahti hun main
Jab kartihun khud wafa
Kyun bewafai sahti hun main.

Na mille chahat mein ruswaai
bas issi baat se darti hun main
palkoin mein aansu liye
yeh iltejaah karti hun main.

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Hi Khusi
This Poem of urs is really touching
Even i have wrote something of this sort some time bac


subah se saam tukk chup rahtee hain...
kuch armano ko kuchaltee ye khamosh pull.....
buss busar kar raha hunn.....ye tamamm
Apni Jindgii Ke Khamosh pulll.....

Dorr dorr tuk khamosh hai Nazar....
aur kahee dorr eek kolaahul sayad khamosh.....
ees jahan se bhee hutkee, eek Khamosh Jindgee...aur
Apni Jindgii Ke Khamosh pulll.....

eek tunhaa yaad hai ....
aur kahee se aatee wo husee.....(kabhee jo husa kartee thee)
jo bahut door hai....saayad kahee nahee aur
Apni Jindgii Ke Khamosh pulll.....



Suyasham
suyash.kumar@gmail.com

Saturday, July 22, 2006 5:58:00 AM  

Post a Comment

<< Home