My Photo

Humari Kalam Se

Dil ke jazbaat kuch alfaazoin ki zubaani
Also visit: My English Poetry at http://lambency.blogspot.com/
and My Views at Whimsical Discourse (http://khushi.wordpress.com/)

My Photo
Name:
Location: Washington, United States


"With me poetry has not been a purpose, but a passion"

Saturday, March 18, 2006

Ashq aur ahsaas

Ashq aur ahsaas
Ashq aur ahsaas

Izhar-e-mohabbat aashiq ka
Kar deta tha jinki rusvai
Wahi aaj uski mazaar par
Be-aabru neer bahaate hain

Chal diya, joh naaz uthata tha
Ab jeeta hai bus yaadon mein
Labh par naam nahi aataa par
Taruuf ashq karaate hain

Himmat dete samjhate thei sab
Waqt har zakhm bhar deta hai
Dil ke saare tukdhe ab bhi
Tasveer ussi ki dikhaate hain

Chashme saare sookh gaye
Par ankhein ab bhi nam rahti hain
Baharein aati jaati hain par
Mausam na dil behlaate hain

Dhundli palkein bichhati hai
Aas lagaye baithhi hai woh
Laakh bulao unko… phir bhi
Jo gaye ….. na waapis aate hain


-- Khushi

0 Comments:

Post a Comment

<< Home