Zubaan-e-kalam
Do bol labhon se na nikle
Jab dil ka haal sunana tha
Unhe lafzon mein piroh daala
Kuch ghile shiqwe mitane ko
Kis par kitna haq rakhti hun
Jab dil mujeh na bata paaya
Tab chup rah kar bus likh daala
Na tha jab koi jatane ko
Jazbati hona, koi gunah nahi
Thokar se Sambhalna seekha hai
Woh shaks humraaz nahi rahta
Joh aata hai bus sataane ko
Kyun dil mere ne vyatha sunai
Math socho ki main rusva hun
Kaun hai jo kabhi na toota, jiske
Na koi ghaav hon batane ko
Zubaan se abhivyakt karte kuch
Boli se Nashtar chalate hain
Humne lafzon mein piroh daala
Jab ghile shiqwe thei mitane ko
Jab dil ka haal sunana tha
Unhe lafzon mein piroh daala
Kuch ghile shiqwe mitane ko
Kis par kitna haq rakhti hun
Jab dil mujeh na bata paaya
Tab chup rah kar bus likh daala
Na tha jab koi jatane ko
Jazbati hona, koi gunah nahi
Thokar se Sambhalna seekha hai
Woh shaks humraaz nahi rahta
Joh aata hai bus sataane ko
Kyun dil mere ne vyatha sunai
Math socho ki main rusva hun
Kaun hai jo kabhi na toota, jiske
Na koi ghaav hon batane ko
Zubaan se abhivyakt karte kuch
Boli se Nashtar chalate hain
Humne lafzon mein piroh daala
Jab ghile shiqwe thei mitane ko
6 Comments:
Na jane kya baat thi unki rahon me,
ke hum umar bhar Diwano se Bhatakte rahe,
itna mushkil hua khud ko pehchanna
ke der tak Aaine se ulajhte rahe...
nice blog..
Awesome!
Yeh dard aapki jindagi mein hai ya sirf shaayri mein, yeh to mein nahi jaanta.. Par dil ki aawaaz shaayari ke jariye baahar nikal hi aati hai.
good one dost....
visit my site also n post there ur shayaries if possible...
www.maksazone.com
good one dost....
visit my site also n post there ur shayaries if possible...
www.maksazone.com
Hey its really damn gud
Post a Comment
<< Home