My Photo

Humari Kalam Se

Dil ke jazbaat kuch alfaazoin ki zubaani
Also visit: My English Poetry at http://lambency.blogspot.com/
and My Views at Whimsical Discourse (http://khushi.wordpress.com/)

My Photo
Name:
Location: Washington, United States


"With me poetry has not been a purpose, but a passion"

Sunday, November 02, 2008

Hai kasam humein zamaane ki














Ik aas hai chanchal chitvan se
sapno ki duniya sajaane ki
dil chaahi khushi jahaan basti ho
Namumkin ko mumkin banaane ki

Mann jeeto apne vishwaas se
Nahi chalti vidhi vidhaano ki
Chhoo jaate hain woh bulandi ko
Jineh chaah ho kuch kar jaane ki

Uthte huye inn kadmon se
Haathon ki inn lakeeron ki
Badleinge hum iss kismat ko
Hai kasam humein zamaane ki.
-- khushi

4 Comments:

Anonymous Anonymous said...

apki kalam mein ek ehsaas hai,
lafzo mein ek ankahi pyas hai,
bahut khoosurati hai har kalaam mein,
har shabd apka khas hai.
BAHUT KHOOBSURAT LIKHTI HAI AAP.

Monday, July 30, 2007 7:19:00 AM  
Blogger Samarthya said...

Kafi bhavnatmak kavita hain! jo kuch kho jane ke gam se thoda sa hat kar samjhane ka prayad jyada lag raha hain!!

Great job anyways!

Saturday, December 27, 2008 8:23:00 AM  
Blogger Invicto Alma said...

I m not a artist type of person but iI relly liked this work , well done

Monday, January 19, 2009 4:15:00 PM  
Blogger twistybreadandchickenwings said...

Kismet se kismet khuli hai is abeer ki!
Ranjish hai phir bhi...
Bahut hain dooriyan..
Bahut hain faasle...
shayad, taqdir ki hai muflisi..

Friday, December 11, 2009 1:55:00 PM  

Post a Comment

<< Home