Kuch pata hi nahi chala
Ajnabi kuch anjaane se
Kab dil ke azeez ho gaye
Kuch pata hi nahi chala
Harre bhare uss aangan se
Kab phool sitaare jhadh gaye
Kuch pata hi nahi chala
Jaagti aankhon ke soone sapne
Kab ansoon banke bah gaye
Kuch pata hi nahi chala
Bechain karte yeh tanha din
Kab mahino mein badal gaye
Kuch pata hi nahi chala
Haathon ki lakeeron se
Kab kitne alfaaz mit gaye
Kuch pata hi nahi chala
-- Khushi
5 Comments:
"Haathon ki lakeeron se
Kab kitne alfaaz mit gaye
Kuch pata hi nahi chala "
bahut gaharee baat kaheen hain yahaan aapne.
superbbbbbbbbbbbbbb
great poetry
achcha laga yahan aa kar.. badhai hio..
kavi kulwant
http://kavikulwant.blogspot.com
Very nice..
Acanak aapki rachnayein padhi achha laga.Kaash aapki rachnayein Devnagri lipi me hoti .
Post a Comment
<< Home