Namm Palkein
Palkon ke chilman ne dekha
Jazbaton ka ik shikhar naya
Chand lamhon mein sajaya hua
Woh sapna thaa, so bikhar gaya
Asmanjhas ki lehron mein khoye
Anjaan hum aur ghumsum dil
Kis aandhi ne duboya humko
Kyun door hua hum se sahil
Sadiyan nahi, Ik pal mein badle
Ahsaason per kya dhool jamii
Rukhsaar khilaa rahta tha pehle
Ab aankhon mein bus gayi namii.
Jazbaton ka ik shikhar naya
Chand lamhon mein sajaya hua
Woh sapna thaa, so bikhar gaya
Asmanjhas ki lehron mein khoye
Anjaan hum aur ghumsum dil
Kis aandhi ne duboya humko
Kyun door hua hum se sahil
Sadiyan nahi, Ik pal mein badle
Ahsaason per kya dhool jamii
Rukhsaar khilaa rahta tha pehle
Ab aankhon mein bus gayi namii.
-- Khushi
2 Comments:
'chilman ne dekhaa' yaa 'chilman se dekhaa' ?
literally 'chilman' is a kind of curtain .
Khush cheron ke peeche,
Gham bhare chehron ka aks dekhte hun!
Khudgarz hai tu zindagi,
In namm palkon mein bhi uski tasveer dekhta hun!
Post a Comment
<< Home