My Photo

Humari Kalam Se

Dil ke jazbaat kuch alfaazoin ki zubaani
Also visit: My English Poetry at http://lambency.blogspot.com/
and My Views at Whimsical Discourse (http://khushi.wordpress.com/)

My Photo
Name:
Location: Washington, United States


"With me poetry has not been a purpose, but a passion"

Sunday, April 30, 2006

Ghayal Dil

Ghayal hua yeh dil-e-beqaabu
Husn-o-malika ne woh adaa paayi

Kaise bachte hum shab-o-jaam se
Saaki ban woh mehkadaa aayi

Izhaar-e-ishq se darta tha dil
Uski nazar se na razaa aayi

Dil doz hua jaata tha humara
Uske labh par phir sadaa aayi

Fanaa hui hasti humaari
roshan karne na sanaa ayi

Karte rahe fizaa ki umeed
Tanha kar gayi jo khiza aayi

Ghayal hua yeh dil-e-beqaabu
Husn-o-malika ne woh adaa paayi

Sunday, April 23, 2006

Ab tujse door kahan jaun main

Khud se hi sharminda hun
Logoin se kya aankh milaun main
Bus jism se zinda hun
Kaise dosti mein dum laun main

Meri humraaz ko maan nahi hai
To aur kissi ko kya karwaun main
Jis ne bharosa utha diya hai
Uss jaanasheen ko kaise samjhaun main

Jiski khushi se badh na chaha kuch
Kaise uss naadaan ko yeh bataun main
Aaj teri ek chuppi se lage zakhm kaise
Meri dil-aziz, tujhse chhupaun main

mere liye yeh kitna aham hai
kaise tujeh ahsaas dilaun main
jisse khud se zyada chaha
ab tujh per kya haq jataun main

Mere lamhe lamhe ki dhadhkan
Tere ahsas se kaise bhulaun main
Mujh par kuch yakeen na kiya tune
Aei khudah, iska sabab jaan paun main.

Meelon ke fasle lambe nahi
Kaise dil ke faasle mitaun main
Dil ke haathon majboor hun
Ab tujse door kahan jaun main

Wednesday, April 19, 2006

8 dedicated hours of a Software engineer

Normal DinCharya jeene ka
Na chun chun chaiyn chaiyn karne ka
Subah 8 AM uthne ka
gaaaadhi mein naashta karne ka

Dooooor ki parking milne per
Early birds ko accuse karne ka
Phir entry gate pahunchne per
bag mein badge search karne ka

Google "bag" kab launch hoga
"G" Desktop se tulna karne ka
Life bhi computer see hoti toh
Har galat per.. Ctrl-Z karne ka

Abhi itna hi-tech nahi huyein hai
Soch kar afsos karne ka
Office corridor mein hai bande!!
Reality mein entry karne ka

Team room mein ghuste hi
Good morning wish karne ka
Ghadhi dekh ghoore jo tumko
Usse dekh andekha karne ka

Seat per comfy baithte hi
Phone/voicemail check karne ka
phir Ctrl-Alt-Del dabaa kar
Woh System unlock karne ka

Outlook check karte hi
Sab meetings accept karne ka
Calendar bhara bhara acha hai
Very busy pretend karne ka

Server jab tak start hota hai
Kuch net goofing karne ka
5-6 replies ho jaayein tab
Code ke darshan karne ka

2 ghante system ghoorne par
Lambi aahein bharne ka
"tea / coffee ?" IM aane par
"yeah chalo" reply karne ka

15 minute ki masti se
Refreshed feel karne ka
Phir waapis system ke aage
Sir khapaai karne ka

Scroll up down karte karte
Ikka dukka mouse click karne ka
Clock mein 11:30 bajte hi
Lunch declare karne ka

Khaa peekar mann ki santushti se
Phir chintan Nindra karne ka
Uff ! Kaam per so nahi sakte
So bahar sun walk karne ka

Kaafi waqt beet gaya hai
So yahoo check karne ka
Kissi ne to email kiya hoga
Issi hope mein login karne ka

New* Bulk(5) dekhne per
Zor se Empty karne ka
Saare dost tafri per honge
Honestly accept karne ka

Ek aur coffee break le lo
Meeting attend hai karne ka
Logoin ke khokhle fande sun
Chup chap ignore karne ka

Samay ruk gaya saa laage
Do tuk observe karne ka
5:30 kab bajeinge
4 PM se wait karne ka

Baj gaye 5 ab khushi khushi
Packing start karne ka
8 dedicated hours daale hain
Sincere worker!!, nahi darne ka

– Khushi