My Photo

Humari Kalam Se

Dil ke jazbaat kuch alfaazoin ki zubaani
Also visit: My English Poetry at http://lambency.blogspot.com/
and My Views at Whimsical Discourse (http://khushi.wordpress.com/)

My Photo
Name:
Location: Washington, United States


"With me poetry has not been a purpose, but a passion"

Saturday, February 18, 2006

Shayari...

Agar koi mujh se pooche ki meri nazar mein umda Shayari kya hai ? to main kahungi.......ki
shayari woh hai, jiske zaria dil ke jazbaat
hejaab ke dayroin se bahar aate hain.
Kahne waale hazaar alfaazoin mein jo bayan nahi kar paate .....
wahi kuch azeem log do panktion mein kah jaate hain .....

" Kabeera jab tum paida huye,
Jag hansa tum roye......
Aeisi karni kar chale.....
Tum hanse jag roye "

-- Mera taruuf : Ek adna see shayara --jo "Scintillant" kahlaati hai

Saturday, February 04, 2006

"Dost hain......Mehmaan nahin"

Woh jeena bhi kya jeeena hai
Jab apni koi pehchaan nahin
Kar kuch aisa jaaana hai
Koi samjhe humein anjaan nahin

Khush karna aur khush rahna hai
Rahe koi pareshaan nahin
Har Dil mein aise basna hai
ki dost hain..... mehmaan nahin

"Lafz"

Unn ankhon ki kya masti hai
jo parwane na jalaa payein
unn lafzon ki kya hasti hai
jo dard-e-dil na dikha jayein

"Khudaa aur Khudii"

Khudii mein falak dekhti hun
Khudii mein dhara bhi
Khudii mein khot dekhti hun
Khudii mein khara bhi.

Maan kar niyam joh
karein hum neki sabhi
dukh baant kar sahein joh
sukhi hum honge tabhi

Naa chahein bhi hum agar
Ho kar rahta hai wahi
Likha upar waale ne joh
woh sabke liye hai sahi

Na millega kismat se zyada
Hoge utne hi hum dhani
Na millega waqt se pehle
Hai yehi vidhaan-e-phani

Shama

Ek dil-jala ashiq bola .........

"
naam shama hai, duniya veeran bana dete ho
dil ke armaanon ka shamshaan bana dete ho
sahi rishton ki galat pechaan bana dete ho
jo log dil-o-jaan se aapko chahte hai hazoor....
aap un bad-naseebo ko hi bhai jaan bana dete ho??
"

----------------------------------
Jawaab-e-husn..........

"
Shama woh hai jo parwane ko paak kar deti hai
Shama woh hai jo jalaa kar raakh kar deti hai
Uska bhai hona bhi khush kismati hai aei huzoor.
Warna Shama aise dil jalon ka naam khaakh kar deti hai.
"

"Ruh-Baruh"


Ruh-Baruh
Shaksiat aap si ho
Aisi hi justaju hai
Bus ik baar ruh-baruh
Milne ki aarzoo hai

"Yeh teri Khuddai"

Muddatoin ki chahat humne do pal mein gawai hai
Wah khuda bahut khoob yeh teri khudai hai

Do lafzon se unka ikraar kyun hum se bewafai hai
Sukh ki ruksati par ab dukh se hamari sagai hai
Kyun sazaa mein laazim hum par yeh umar bhar ki judai hai
Aye khuda ashkon mein doobi yeh teri khudai hai

Dard humein mila to kya kahin to khushi chhai hai
Kaantein hain silah to kya kahin to mehak samai hai
Berang yeh rooh to kya kahin to rangat aayi hai
dekh khuda siyaah ko lippti yeh teri khudai hai

Patjhadh hai yahan to kya kahin to bahaar aayi hai
Amavas hai yahan to kya kahin to chandani barsai hai
Ghamgeen yeh nigah to kya kahin to na rusvai hai
Ya khuda chilman si dhundli yeh teri khudai hai

Naino mein thei basae ab woh nigaah bhi paraai hai
Kis kusoor par fir hum par yeh laanat aayi hai
Apni hi banai kaynaat par kyun qayamat dhaai hai
Bataa khuda KYUN aisi yeh teri khudai hai

Tu khuda hai Niraali yeh teri khudaai hai
Kya gila karun jab tune mujh par bhi bakshish farmai hai
Lamhe ko hi sahi mujh par bhi khushi itraai hai
Ahsaan hai tera tune mujhe bhi jannat dikhai hai

"Bewafaa Saans"

wada kiya tha na bhulaoge mujhe.
na dastak di na di awaaz mujhe
iss intezzar mein yeh darr hai mujhe
bewafa saans na chodh de mujhe

"Khushi ki dua deti hun"

Labhoin par khilti rahe hunsi
Madhosh sabaa deti hun
Na gham tumhe chhu paye
Khushi ki dua deti hun

Na veeran ho gulshan tumhara
Sawan ki ghata deti hun
Patjhadh mein bhi phool khille
Woh aaboh-hawa deti hun

Sukh se ghirre rahho sada
Fiza-e-rajaa deti hun
Muammaa na ho zindagi
Qariina-e-Raanaa deti hun.

Tumsa aashnaa hai mera
Sabki sanaa leti hun
Na gham tumhe chhu paye
Khushi ki dua deti hun

"Bheedh Mein Tanha"

Iss besabab zindagi ke
mainoin par tavajjou deti hun main
sab khokhla sa lagta hai
paimano ko aansu deti hun main

Jazbaaton se hi zinda hun
Yeh jataa nahin paati hun main
Kyun jeena hai tanha yahaan
Khud ko mana nahin paati hun main.

Unn par haq kho diya
apni bebasi par sharminda hun main
chal rahi hai dhadhkan to
samajh leti hun zinda hun main.

Insaaniat ke paak jazbe mein
kyun kissi se zillat sahti hun main
Jab kartihun khud wafa
Kyun bewafai sahti hun main.

Na mille chahat mein ruswaai
bas issi baat se darti hun main
palkoin mein aansu liye
yeh iltejaah karti hun main.

"Jo Tuut rahi hai"

Muddat-e-intezaar ka har lamha.
saansoin par ek aazaab hai.
umeed na daaman chhodhegi
qayamat tak ka faasla behisaab hai.

Nigahoin ko bharne jo
chale aate hain ashq humaare
ab to palkoin ke chilman mein bhi
namumkin deedar-e-Khwaab hai

Gham deta hai kyun
usse saath humara
uss sang beeta Lamha mujhe
lagta kaanton mein gulaab hai

Hum zinda hain
bus batati hain saansein.
Gar dil ke tukdhe na dekho
haal-e-dil mahtaab hai

Qayamat tak nigah-e-chasm hongi nazrein
Joh tuut rahi hai
woh umeed nahi....saans hai

"Atoot dosti"

Meri tanhayion ka sabab.....yeh kitabein nahin,
jab tanha paati hain to sahare ko chali aati hain yeh.

Inn bejaan pannoin mein dost nahin dhoondti main.
jaan jaisoin ke jaane pe chali aati hain yeh.

sahil par jaane ko saathi nahin hain
tab sahil dikhane ko chali aati hain yeh.

jab haathoin se haath chhoot jaate hain
tab humein thaamne chali aati hain yeh.

Kyun na samjhoon inhe dost ab main.
Dostoin ke naa ane par jo chali aati hain yeh.

Thursday, February 02, 2006

Woh Haseen pal

Kabhi na bhula payeinge
Un Lamhoin ko yaad karte hain.
Kabhi kya laut payeinge
Un dinoin ko yaad karte hain.
Iss masroofiat mein kya lutf uthayeinge
Jahaan har pal jeete marte hain
Woh haseen pal ab na aayeinge
Jinpar har khushi nazar karte hain.