My Photo

Humari Kalam Se

Dil ke jazbaat kuch alfaazoin ki zubaani
Also visit: My English Poetry at http://lambency.blogspot.com/
and My Views at Whimsical Discourse (http://khushi.wordpress.com/)

My Photo
Name:
Location: Washington, United States


"With me poetry has not been a purpose, but a passion"

Wednesday, October 12, 2011

House Hubby



Naye daur ki nayi kahaani

Aaj aapko sunati hun

Role swap ka kissa hai yeh

chaliye details batati hun


subah sehar ke 6 baje thei

alarm jab woh bola thaa

biwi jee ne snooze dabaya

bus 5 min aur sona thaa


“5 min aur” karte karte

8 bajne ko aayei jab

Harh badha uth gayi shreemati

hosh thikane aayei tab


Naashta bana rahe thei hubby

Honey !! bolo kya khaaogi

Bread…Cereal…paranthei…. bhi hain

Bolo - Nosh !! kya farmaogi


Gym routine mein lagi huyi hun

Figure maintain nahi karna hai kya

Tum ghee laga dete ho inn per

Paranthei kha kar marna hai kya


Pati dev khabrakar bolei

Acha acha – sorry baba….

Low-fat ….. cereal deta hun

Lunch mein sandwich bana diya hai

Greek yogurt bhi rakh deta hun


iss per Biwi pyar se boli -


Thanks sweetheart – ab chalti hun

Office mein early meeting hai

Sham - der hogi aane mein

Beautician ke sang seating hai


Aaj vacuum tum karke rakhna

Bahut dino se dhool jami hai

Garbage bhi dispose kar dena

Uski badboo thami nahi hai


Laundry ke do load lagana

Dekho whites aur color alag se

Aarav ka homework karwana

School shuru… ho raha hai kal se


Haan haan – sab main kar rakhunga

Munni ko tum khilati jaao

Formula hajam nahi hai hota

Usse apna doodh pilati jaao


Daftar se jab sham ko niklo

Tum Leti aana tamatar aaloo

Ghar ka raashan khatam hua hai

Tabhi karunga chulha chaaloo


Iss per Biwi gurrah kar boli

Mayuri raste nahi hai mere

Apna bazaar kyun nahi ho jaate

Issi bahane ghar se nikloge

Baithei baithe ho rahe ho mote


Chalo…. main bazar ho aaunga

Tum tension toh naa lo - biwi

Cable waale ko tum kahna

Set karke woh jayein TV


Direct TV ke channels kei toh

Sasur jamai serials hain pangei

Bigaadh diya hai tum mardon ko

Grih-shaanti mein daalein dangei


Kab se kah rahi hun tumko

Food channel hi dekha karo tum

roz roz ka simple khana

Naye vyanjan seekha karo tum


Haan - koshish toh karta rahta hun

aglei weekend surprise karunga

Tum ne kabhi na chakha jo hoga

Aisa cuisine design karunga


Jaane weekend woh kab aayega

Issi aas mein saalon hai beete

Sanjeev kapur se kar leti shaadi

swad aata tab mere hissei


Khana toh tum bana lete ho

peit bus bharna ho jis se

Tum toh bus kahte rahte ho

Sasurjee se tum kuch na seekhei


Naaraaz bhala kyun hoti ho tum

Naa Raaz tumse chhupa hai koi

Koshish toh karta rehta hun

Hukum tumhara rukaa na koi


haaye meri kismet hai phooti

mujhko koi aaram nahi hai

baatein hi toh banate ho tum

tum ko toh koi kaam nahi hai !!!


poora din laga rahta hun

pati nahi naukar laana tha

tang aa kar - jaa raha hun mayike

jeevan sangni tumeh maana tha


dekha doston


roz roz ki taana kashti

kahaan kisi ko bhaa paayi hai

dono ka sahyog zaroori

Grihasti tabhi to has payi hai


Daadi amma sahi kahti thi

Do pahiyon per hi chalti gaadhi

Ek jana bhi agar ho dheela

Aa jati hai vipdaa bhaari


Main aur Tum ki behas ko chodho

Ahum ko rakho Hum se door

Ek aur Ek se banao gyaraaah

Pyaar se hota jeevan paripoorn


- Khushi

Labels: , , , ,