My Photo

Humari Kalam Se

Dil ke jazbaat kuch alfaazoin ki zubaani
Also visit: My English Poetry at http://lambency.blogspot.com/
and My Views at Whimsical Discourse (http://khushi.wordpress.com/)

My Photo
Name:
Location: Washington, United States


"With me poetry has not been a purpose, but a passion"

Wednesday, November 28, 2007

Namm Palkein




Palkon ke chilman ne dekha
Jazbaton ka ik shikhar naya
Chand lamhon mein sajaya hua
Woh sapna thaa, so bikhar gaya

Asmanjhas ki lehron mein khoye
Anjaan hum aur ghumsum dil
Kis aandhi ne duboya humko
Kyun door hua hum se sahil

Sadiyan nahi, Ik pal mein badle
Ahsaason per kya dhool jamii
Rukhsaar khilaa rahta tha pehle
Ab aankhon mein bus gayi namii.


-- Khushi

Labels:

Monday, November 05, 2007

Rishtei



Kuch rishtei bann jaate hain
Chand lamhon ki pehchaan se
Umar beet jaati hai kuchh mein
Rah jaate kuchh, anjaan se

Anant saagar ki lahron mein
Dhalti kirnon ke baan se
Ik aakriti sii ubhar aati hai
Mann mein kis ke aahwaan se

Dil ka milna kismet se hai
Na koshish na ahsaan se
Khamoshi bhi tabh kah jaati hai
nigahon ke byaan se

-- Khushi

Labels: ,