I love my India
Mujeh aaj bhi woh din yaad aata hai …………jab thodhi see anxious aur bahut enthusiastic………….main British airways ki flight mein baithi thi.......Pehli baar US aaane ke liye..........Fingers crossed aur mixed emotions……!!
Pehle pehle toh US badha atpata sa lagaa……
¨ sadhak ki side ulti….
¨ gadhi mein driving side bhi ulti……
¨ Yahan per toh Bijli ka switch bhi ulta ON hota tha………
¨ biscuit cookie ban gaye.......aur Petrol Gas
¨ 32 degree Fahrenheit sun kar 0’C waali thand bhi nahi lagti thi.
ek woh din tha aur ek aaj ka din hai …………samay ka pata hi nahi chala….padhaai aur phir naukri…….guzurte guzarte itne saal ho gaye….. yahaan ki tez raftaar zindagi mein kitni baar ghar ki yaad aayi……aur jaane anjaan maine apne aap ko aur masroof kar liya.
Dooriyan humein cheezon ki ehmiyat samjhaati hain.......aur inn saalon mein maine jaana……ki jis bharat ko main miss karti hun…..woh ek zameen ka tukdha nahi hai.
Main miss karti hun…
¨ wahaan ke culture ko……
¨ humaari roz marra ki zindagi ko……
¨ wohh sabzii waale ke gali mein awaaz lagane ko……
¨ model town ke chaurahe per lagi chaat ki dukaan ko……
¨ 3 kilometer ka raasta 3 ghante ke traffic jam ko……
¨ Gaadhi chalate huye non stop honk karne ko
¨ Ek haath ki jageh mein auto rickshaw ke naak ghusaa dene ko
¨ woh ghoomte ghumate bina phone kiye kissi dost ke ghar jaa dhamakne ko
¨ aur roz bhai se remote ke liye ladhne ko……
India ek desh nahi hai….ek sanskriti hai……ek vyavahaar hai……
humaare rom rom mein basaa ek ehsaas hai……hum jaahaan bhi rahein…na hum iss se alag nahi hain aur na hi yeh humse.......
Apne issi ehsaas ko aapke saamne kuch panktion mein prastut karma chahati hun.......I hope aapko yeh koshish pasand aaye.
Arz karti hun ::
Jab chidhiyon ke chehakne……..Sei ubharti thi bhor
Doodh waale ki khat khat…… Sharma aunty ka shor
Maa bulati thi neechei ………Ki naashta hai ready
Pocket money thi milti ………Jab khush hote daddy
University ke campus ………thandi hawaon ke jhonke
Badhi Maruti ke peechei ………Roz kutte jo bhonke
Gali waale Golgappe………Extra pani ki maangein
Tikki waale ki chaat………Tandoori woh taangein
Woh college mein gedhi………chai walei ka theila
Samose-Chhole ke order………Sab yaaron ka mela
Block buster ho movie………Toh college se bunk
Woh bullet aur Chetak ………ki sadhkon per jung
woh Archies ki Gallery………aur mehngei woh cards
Woh chui mui ke bear………Valentines ke Hearts
Second class ticket per ………Reserved dibbei mein chadhna
Aur upar ki berth ………Sei TC sei ladhna
Auto waale sei chhuttei………Paiso per jhagdha
Nukkadh ki dukaan ……… Per bargain tagdha
May ka mausam ….....aur dasheri woh aam
Holi ki masti .......aur thandayi ke jaam
Woh kullu manaali…...aur ooty ki waadi
Wohh nehru ki topi….. aur Gandhi ki khaadi
Pehli baarish ki boondein……..geeli mitti ki khushboo
Woh chai pakodhei ……. Khushi raam ke laddooo
Sarson ka saag ….. aur roti Makkyi ki
Desig ghee ka tadka…….na fikar Calories ki
Ab police ke siren hain .......chidhiyan hain khoyi
Safeway kee grocery hai……….kaandhon per dhhoyi
Har Sunday ka vacuum........aur rest room ki safaai
Ghar per thi aish…………..Yaad aati hai Baai
Woh mummy se halwei .........Aur champi ka laad
Nahi socha tha itna ………woh aayega yaad
Aati hain yaadein ......jab aanchal koi lehrata hai
Mann lalcha uthta hai…..jab india koi jaata hai
Hai kareeb iss dil ke …….Jai hind ka naaara
Har daulat se badh ker … mera watan hai pyaara !!
- Jai Hind :: Khushi
Labels: 15th august, country, Independence day, India, memory