My Photo

Humari Kalam Se

Dil ke jazbaat kuch alfaazoin ki zubaani
Also visit: My English Poetry at http://lambency.blogspot.com/
and My Views at Whimsical Discourse (http://khushi.wordpress.com/)

My Photo
Name:
Location: Washington, United States


"With me poetry has not been a purpose, but a passion"

Thursday, July 20, 2006

Sakhi meri sasuraal chali

Ek aangan mein nahi khele thei,
Meri naani ke ghar nahi pali
De yaadein saalon ki dosti ki
Sakhi meri sasuraal chali

Mahino saalo ke bandhan yeh
Hazaron mein teri yaari bhali
Kai raaz mere, dil mein chhupaa kar
Sakhi meri sasuraal chali

Waqt nahi rukta hai roke
Bhool jayegi tu meri gali
Sajayegi tere piya ka aangan
Sakhi meri sasuraal chali

Dua har pal deti hun tujhko
Teri khushi rahe phooli phali
Tu yaad bahut aayegi laado
Sakhi meri sasuraal chali

-- Khushi

Tuesday, July 11, 2006

Jab dil se ishq farmaya ho

Jab dil se ishq farmaya ho
Ho bewafaa koi janaa nahi
Jazbaton ka gar basera ho
Ho chaahat mein koi fanaa nahi

"Khushi" ka bus sarmaya ho
Ho gham se bhari koi sabaa nahi
Har syaah ke baad savera ho
Ho Mayusi se koi tabaah nahi

Jeevan ki har subah achhii ho
Yeh chahana koi gunah nahi
Har ibadat khuda ki sachii ho
Uss se badhi koi panaah nahi

-- Khushi