My Photo

Humari Kalam Se

Dil ke jazbaat kuch alfaazoin ki zubaani
Also visit: My English Poetry at http://lambency.blogspot.com/
and My Views at Whimsical Discourse (http://khushi.wordpress.com/)

My Photo
Name:
Location: Washington, United States


"With me poetry has not been a purpose, but a passion"

Tuesday, March 20, 2007

Aaj gillah hai dost ko mere

Aaj gillah hai dost ko mere
Kyun na maine batlaya
Ghaav jo mera khot hai mera
Kyun na maine dikhlaya

Baantna chaha khushi ko apni
Khush dekh tumeh dil harshaya
Baant sakun main dard bhi apna
Dil ko maine na bharmaya

Haq hai tumko ke rooth bhi jaao
Chheen lo mujhse sarmaaya
Dua khushi ki khush raho tum
Door ho dukh ki har chhaaya.


-- Khushi

Monday, March 19, 2007

kuch kaantein uske daaman ke




kitni yaadein basaa rakhi hain
inn naino ke darpan mein……
kuch shararatein bachpan ki hain
Kahin jhooole hain saawan ke……


Bin mausam barsaat se hoti
Hulchul kyun hai tan man mein……
Sapan salonei akhiaan hain pirohti
Man mandir mein saajan ke ……


Sajji hui moti pushpon se
Baithegi jab doli mein ……
haath rachaa kar piya ki mehndi
Sang hogi man bhaawan ke ……


bhor hui aur bikhar gaya kyun
sapna yeh uske haathon mein
koi nahi kya...aakar jo chun lei
kuch kaantein uske daaman ke

-- Khushi

Sunday, March 11, 2007

Zikr aata hai jo labh per unka

Zikr aata hai jo labh per unka
Mehfilein rangeen see ho jaati hain
Rukhsaar par aata hai jo ahsaas unka
Nigahein shamsheen bhi ho jaati hain

Har nazar dhoondti hai unko lekin
Palkein kabhi sharam se jhuk jaati hain
Har dhadhkan mein woh baste hain lekin
Saansein kabhi ik jhalak se ruk jaati hain

Har nazar har ahsaas mein shaamil
unki yaadein mujeh bechain kar jaati hain
ho meri mohabbat issi jahaan mein kaamil
sab dua bus yehi iltejaah kar jaati hain

-- Khushi