My Photo

Humari Kalam Se

Dil ke jazbaat kuch alfaazoin ki zubaani
Also visit: My English Poetry at http://lambency.blogspot.com/
and My Views at Whimsical Discourse (http://khushi.wordpress.com/)

My Photo
Name:
Location: Washington, United States


"With me poetry has not been a purpose, but a passion"

Wednesday, October 12, 2011

House Hubby



Naye daur ki nayi kahaani

Aaj aapko sunati hun

Role swap ka kissa hai yeh

chaliye details batati hun


subah sehar ke 6 baje thei

alarm jab woh bola thaa

biwi jee ne snooze dabaya

bus 5 min aur sona thaa


“5 min aur” karte karte

8 bajne ko aayei jab

Harh badha uth gayi shreemati

hosh thikane aayei tab


Naashta bana rahe thei hubby

Honey !! bolo kya khaaogi

Bread…Cereal…paranthei…. bhi hain

Bolo - Nosh !! kya farmaogi


Gym routine mein lagi huyi hun

Figure maintain nahi karna hai kya

Tum ghee laga dete ho inn per

Paranthei kha kar marna hai kya


Pati dev khabrakar bolei

Acha acha – sorry baba….

Low-fat ….. cereal deta hun

Lunch mein sandwich bana diya hai

Greek yogurt bhi rakh deta hun


iss per Biwi pyar se boli -


Thanks sweetheart – ab chalti hun

Office mein early meeting hai

Sham - der hogi aane mein

Beautician ke sang seating hai


Aaj vacuum tum karke rakhna

Bahut dino se dhool jami hai

Garbage bhi dispose kar dena

Uski badboo thami nahi hai


Laundry ke do load lagana

Dekho whites aur color alag se

Aarav ka homework karwana

School shuru… ho raha hai kal se


Haan haan – sab main kar rakhunga

Munni ko tum khilati jaao

Formula hajam nahi hai hota

Usse apna doodh pilati jaao


Daftar se jab sham ko niklo

Tum Leti aana tamatar aaloo

Ghar ka raashan khatam hua hai

Tabhi karunga chulha chaaloo


Iss per Biwi gurrah kar boli

Mayuri raste nahi hai mere

Apna bazaar kyun nahi ho jaate

Issi bahane ghar se nikloge

Baithei baithe ho rahe ho mote


Chalo…. main bazar ho aaunga

Tum tension toh naa lo - biwi

Cable waale ko tum kahna

Set karke woh jayein TV


Direct TV ke channels kei toh

Sasur jamai serials hain pangei

Bigaadh diya hai tum mardon ko

Grih-shaanti mein daalein dangei


Kab se kah rahi hun tumko

Food channel hi dekha karo tum

roz roz ka simple khana

Naye vyanjan seekha karo tum


Haan - koshish toh karta rahta hun

aglei weekend surprise karunga

Tum ne kabhi na chakha jo hoga

Aisa cuisine design karunga


Jaane weekend woh kab aayega

Issi aas mein saalon hai beete

Sanjeev kapur se kar leti shaadi

swad aata tab mere hissei


Khana toh tum bana lete ho

peit bus bharna ho jis se

Tum toh bus kahte rahte ho

Sasurjee se tum kuch na seekhei


Naaraaz bhala kyun hoti ho tum

Naa Raaz tumse chhupa hai koi

Koshish toh karta rehta hun

Hukum tumhara rukaa na koi


haaye meri kismet hai phooti

mujhko koi aaram nahi hai

baatein hi toh banate ho tum

tum ko toh koi kaam nahi hai !!!


poora din laga rahta hun

pati nahi naukar laana tha

tang aa kar - jaa raha hun mayike

jeevan sangni tumeh maana tha


dekha doston


roz roz ki taana kashti

kahaan kisi ko bhaa paayi hai

dono ka sahyog zaroori

Grihasti tabhi to has payi hai


Daadi amma sahi kahti thi

Do pahiyon per hi chalti gaadhi

Ek jana bhi agar ho dheela

Aa jati hai vipdaa bhaari


Main aur Tum ki behas ko chodho

Ahum ko rakho Hum se door

Ek aur Ek se banao gyaraaah

Pyaar se hota jeevan paripoorn


- Khushi

Labels: , , , ,

Tuesday, August 30, 2011

Eid Mubarak


na Uski nigaah mein fark hai
na humko hi fark karna hai
gunaahon se tauba karke
bus uske kehar se darna hai

Ek Khuda ki Ek ibaadat
mein sir jhukaye rakhna hai
Eid Diwali toh hain bahane
milker meetha chakhna hai

Al hamdulillah - Eid Mubarak :)

- khushi

Labels: , , , ,

Monday, May 02, 2011

Taqdeer - Umeed aur Himmat

taqdeer mein nahin woh baat nahin ban ni,
jo ho nahin sakta uski ummed kya karni,
taqdeer ka likha toh badalta hai insaa hi
na toote gar umeed naa tootegi himmat bhi

Thursday, February 10, 2011

KhudGarz


Dard -e- intehaa dekho
hum Tanha "Arz" kahte hain
Hunsi ko haal na samjho
Dikhaava-marz sahte hain

Tamanna dil ki, mar jaye
"kya hai harz" kahte hain
ishq mein hum, wafaa chahein
humein khudgarz kahte hain

Labels: ,

Sunday, August 15, 2010

I love my India

Mujeh aaj bhi woh din yaad aata hai …………jab thodhi see anxious aur bahut enthusiastic………….main British airways ki flight mein baithi thi.......Pehli baar US aaane ke liye..........Fingers crossed aur mixed emotions……!!

Pehle pehle toh US badha atpata sa lagaa……

¨ sadhak ki side ulti….
¨ gadhi mein driving side bhi ulti……
¨ Yahan per toh Bijli ka switch bhi ulta ON hota tha………
¨ biscuit cookie ban gaye.......aur Petrol Gas
¨ 32 degree Fahrenheit sun kar 0’C waali thand bhi nahi lagti thi.


ek woh din tha aur ek aaj ka din hai …………samay ka pata hi nahi chala….padhaai aur phir naukri…….guzurte guzarte itne saal ho gaye….. yahaan ki tez raftaar zindagi mein kitni baar ghar ki yaad aayi……aur jaane anjaan maine apne aap ko aur masroof kar liya.


Dooriyan humein cheezon ki ehmiyat samjhaati hain.......aur inn saalon mein maine jaana……ki jis bharat ko main miss karti hun…..woh ek zameen ka tukdha nahi hai.
Main miss karti hun…


¨ wahaan ke culture ko……
¨ humaari roz marra ki zindagi ko……
¨ wohh sabzii waale ke gali mein awaaz lagane ko……
¨ model town ke chaurahe per lagi chaat ki dukaan ko……
¨ 3 kilometer ka raasta 3 ghante ke traffic jam ko……
¨ Gaadhi chalate huye non stop honk karne ko
¨ Ek haath ki jageh mein auto rickshaw ke naak ghusaa dene ko
¨ woh ghoomte ghumate bina phone kiye kissi dost ke ghar jaa dhamakne ko
¨ aur roz bhai se remote ke liye ladhne ko……


India ek desh nahi hai….ek sanskriti hai……ek vyavahaar hai……
humaare rom rom mein basaa ek ehsaas hai……hum jaahaan bhi rahein…na hum iss se alag nahi hain aur na hi yeh humse.......

Apne issi ehsaas ko aapke saamne kuch panktion mein prastut karma chahati hun.......I hope aapko yeh koshish pasand aaye.


Arz karti hun ::



Jab chidhiyon ke chehakne……..Sei ubharti thi bhor
Doodh waale ki khat khat…… Sharma aunty ka shor


Maa bulati thi neechei ………Ki naashta hai ready
Pocket money thi milti ………Jab khush hote da
ddy


University ke campus ………thandi hawaon ke jhonke
Badhi Maruti ke peechei ………Roz kutte jo bhonke


Gali waale Golgappe………Extra pani ki maangein
Tikki waale ki chaat………Tandoori woh taangein



Woh college mein gedhi………chai walei ka theila
Samose-Chhole ke order………Sab yaaron ka mela


Block buster ho movie………Toh college se bunk
Woh bullet aur Chetak ………ki sadhkon per jung


woh Archies ki Gallery………aur mehngei woh cards
Woh chui mui ke bear………Valentines ke Hearts


Second class ticket per ………Reserved dibbei mein chadhna
Aur upar ki berth ………Sei TC sei ladhna


Auto waale sei chhuttei………Paiso per jhagdha
Nukkadh ki dukaan ……… Per bargain tagdha
May ka mausam ….....aur dasheri woh aam
Holi ki masti .......aur thandayi ke jaam


Woh kullu manaali…...aur ooty ki waadi
Wohh nehru ki topi….. aur Gandhi ki khaadi


Pehli baarish ki boondein……..geeli mitti ki khushboo
Woh chai pakodhei ……. Khushi raam ke laddooo


Sarson ka saag ….. aur roti Makkyi ki
Desig ghee ka tadka…….na fikar Calories ki


Ab police ke siren hain .......chidhiyan hain khoyi
Safeway kee grocery hai……….kaandhon per dhhoyi


Har Sunday ka vacuum........aur rest room ki safaai
Ghar per thi aish…………..Yaad aati hai Baai


Woh mummy se halwei .........Aur champi ka laad
Nahi socha tha itna ………woh aayega yaad


Aati hain yaadein ......jab aanchal koi lehrata hai
Mann lalcha uthta hai…..jab india koi jaata hai


Hai kareeb iss dil ke …….Jai hind ka naaara
Har daulat se badh ker … mera watan hai pyaara !!


- Jai Hind
:: Khushi



Labels: , , , ,

Sunday, November 02, 2008

Hai kasam humein zamaane ki














Ik aas hai chanchal chitvan se
sapno ki duniya sajaane ki
dil chaahi khushi jahaan basti ho
Namumkin ko mumkin banaane ki

Mann jeeto apne vishwaas se
Nahi chalti vidhi vidhaano ki
Chhoo jaate hain woh bulandi ko
Jineh chaah ho kuch kar jaane ki

Uthte huye inn kadmon se
Haathon ki inn lakeeron ki
Badleinge hum iss kismat ko
Hai kasam humein zamaane ki.
-- khushi

Friday, August 08, 2008

Lafzon se kya byaan karun

Geeli palkein kah jaati hain
tanha akeli raaton ko
dhoondti aisa humdum hun jo
rok dei inn barsaaton ko

Dil ki dhadhkan kahti hai aa
thaam lei soone haathon ko
ankhon ki zubaani sun lei
ishq ki saari baaton ko

Lafzon se kya byaan karun main
iss dil ke jazbaaton ko !!

— Khushi

Sunday, February 03, 2008

Affsos

sadman.jpg

Pyaar karta hun par bataa nahi sakta
Haq rakhta hun par jataa nahi sakta
Aaina bhi dekhun to nazar aati ho tum
Khayalon se tumko hataa nahi sakta


Mere khwabon ki taabeer, tumeh saraah nahi sakta
Mere dil ki jaageer, tumeh paa nahi sakta
Khudah se badhkar hai kuch azeezon ki marzi
chaah kar bhi khilaaf main jaa nahi sakta


Hadd se zyada hai tumse mohabbat, phir bhi
Tumhare iss dil mein, tumeh basaa nahi sakta !!


-- Khushi

Wednesday, November 28, 2007

Namm Palkein




Palkon ke chilman ne dekha
Jazbaton ka ik shikhar naya
Chand lamhon mein sajaya hua
Woh sapna thaa, so bikhar gaya

Asmanjhas ki lehron mein khoye
Anjaan hum aur ghumsum dil
Kis aandhi ne duboya humko
Kyun door hua hum se sahil

Sadiyan nahi, Ik pal mein badle
Ahsaason per kya dhool jamii
Rukhsaar khilaa rahta tha pehle
Ab aankhon mein bus gayi namii.


-- Khushi

Labels:

Monday, November 05, 2007

Rishtei



Kuch rishtei bann jaate hain
Chand lamhon ki pehchaan se
Umar beet jaati hai kuchh mein
Rah jaate kuchh, anjaan se

Anant saagar ki lahron mein
Dhalti kirnon ke baan se
Ik aakriti sii ubhar aati hai
Mann mein kis ke aahwaan se

Dil ka milna kismet se hai
Na koshish na ahsaan se
Khamoshi bhi tabh kah jaati hai
nigahon ke byaan se

-- Khushi

Labels: ,

Thursday, May 03, 2007

Kuch pata hi nahi chala


Ajnabi kuch anjaane se
Kab dil ke azeez ho gaye
Kuch pata hi nahi chala

Harre bhare uss aangan se
Kab phool sitaare jhadh gaye
Kuch pata hi nahi chala

Jaagti aankhon ke soone sapne
Kab ansoon banke bah gaye
Kuch pata hi nahi chala

Bechain karte yeh tanha din
Kab mahino mein badal gaye
Kuch pata hi nahi chala

Haathon ki lakeeron se
Kab kitne alfaaz mit gaye
Kuch pata hi nahi chala

-- Khushi

Saturday, April 21, 2007

Mitran dee yaadaan

Umrah de pende Lang Challe..
pher oh zindgi de nazare yaad aunge,
Jinah naal san-jah goorian si..
sanu oh miter Pyare yaad aunge,
Loki Ta Mile C Bahut Par,
Tuhade naal pal Guzare Yaad Aunge,


Uhna guzare palan naaal yaad aunge
uh mitran de kaul te karaar
uhna kandhe bahaye saadhe hanjhun
atte uhna naal kiti hoi takraar
asaan unha hath hath paake hunse
Hun uhne de vichhodhe yaad aunge

-- Khushi

Tuesday, March 20, 2007

Aaj gillah hai dost ko mere

Aaj gillah hai dost ko mere
Kyun na maine batlaya
Ghaav jo mera khot hai mera
Kyun na maine dikhlaya

Baantna chaha khushi ko apni
Khush dekh tumeh dil harshaya
Baant sakun main dard bhi apna
Dil ko maine na bharmaya

Haq hai tumko ke rooth bhi jaao
Chheen lo mujhse sarmaaya
Dua khushi ki khush raho tum
Door ho dukh ki har chhaaya.


-- Khushi

Monday, March 19, 2007

kuch kaantein uske daaman ke




kitni yaadein basaa rakhi hain
inn naino ke darpan mein……
kuch shararatein bachpan ki hain
Kahin jhooole hain saawan ke……


Bin mausam barsaat se hoti
Hulchul kyun hai tan man mein……
Sapan salonei akhiaan hain pirohti
Man mandir mein saajan ke ……


Sajji hui moti pushpon se
Baithegi jab doli mein ……
haath rachaa kar piya ki mehndi
Sang hogi man bhaawan ke ……


bhor hui aur bikhar gaya kyun
sapna yeh uske haathon mein
koi nahi kya...aakar jo chun lei
kuch kaantein uske daaman ke

-- Khushi

Sunday, March 11, 2007

Zikr aata hai jo labh per unka

Zikr aata hai jo labh per unka
Mehfilein rangeen see ho jaati hain
Rukhsaar par aata hai jo ahsaas unka
Nigahein shamsheen bhi ho jaati hain

Har nazar dhoondti hai unko lekin
Palkein kabhi sharam se jhuk jaati hain
Har dhadhkan mein woh baste hain lekin
Saansein kabhi ik jhalak se ruk jaati hain

Har nazar har ahsaas mein shaamil
unki yaadein mujeh bechain kar jaati hain
ho meri mohabbat issi jahaan mein kaamil
sab dua bus yehi iltejaah kar jaati hain

-- Khushi

Friday, February 09, 2007

Arzoo

Tum bin jiye jaate hain saalon se hum
Kal mumkin zindagi ka yeh safar ho na ho
Ghirre hain iss syaah si tanhai mein hum
Kal tanha humse yeh raah guzar ho na ho

Aaj ek din ki hi hai bus yeh zindagani
Kal seene mein yeh dil-e-beemar ho na ho
Mere rukhsaar ko arzoo hai ik nazar ki tumhari
Kal tumeh mere kafan ke deedar ho na ho

-- Khushi

Thursday, July 20, 2006

Sakhi meri sasuraal chali

Ek aangan mein nahi khele thei,
Meri naani ke ghar nahi pali
De yaadein saalon ki dosti ki
Sakhi meri sasuraal chali

Mahino saalo ke bandhan yeh
Hazaron mein teri yaari bhali
Kai raaz mere, dil mein chhupaa kar
Sakhi meri sasuraal chali

Waqt nahi rukta hai roke
Bhool jayegi tu meri gali
Sajayegi tere piya ka aangan
Sakhi meri sasuraal chali

Dua har pal deti hun tujhko
Teri khushi rahe phooli phali
Tu yaad bahut aayegi laado
Sakhi meri sasuraal chali

-- Khushi

Tuesday, July 11, 2006

Jab dil se ishq farmaya ho

Jab dil se ishq farmaya ho
Ho bewafaa koi janaa nahi
Jazbaton ka gar basera ho
Ho chaahat mein koi fanaa nahi

"Khushi" ka bus sarmaya ho
Ho gham se bhari koi sabaa nahi
Har syaah ke baad savera ho
Ho Mayusi se koi tabaah nahi

Jeevan ki har subah achhii ho
Yeh chahana koi gunah nahi
Har ibadat khuda ki sachii ho
Uss se badhi koi panaah nahi

-- Khushi

Wednesday, June 14, 2006

Tanhai

Kitni ajeeb see
hoti yeh tanhai hai
Lage apno se apni
kabhi lagti paraai hai

Rooh ki chhavi see
yeh lagti anjaani bhi
syaah se bhi kaali
kabhi lagti perchhaai hai

Chhoo nahi pati jisko
jaane hai kab bazm mein
tabha karta hai jiska hona
kabhi chubhti jiski judai hai

Karti nahi main iski arzoo
phir bhi aaghosh mein le leti hai
dum bharti hai wafaa ka
kabhi ban jaati harjaai hai

na koi aas paas ho
toh samjhun ke main tanha hun
par duniya ki bheedh mein
tanha kar jaati tanhai hai

-- Khushi

Monday, May 15, 2006

Zubaan-e-kalam

Do bol labhon se na nikle
Jab dil ka haal sunana tha
Unhe lafzon mein piroh daala
Kuch ghile shiqwe mitane ko

Kis par kitna haq rakhti hun
Jab dil mujeh na bata paaya
Tab chup rah kar bus likh daala
Na tha jab koi jatane ko

Jazbati hona, koi gunah nahi
Thokar se Sambhalna seekha hai
Woh shaks humraaz nahi rahta
Joh aata hai bus sataane ko

Kyun dil mere ne vyatha sunai
Math socho ki main rusva hun
Kaun hai jo kabhi na toota, jiske
Na koi ghaav hon batane ko

Zubaan se abhivyakt karte kuch
Boli se Nashtar chalate hain
Humne lafzon mein piroh daala
Jab ghile shiqwe thei mitane ko

Sunday, April 30, 2006

Ghayal Dil

Ghayal hua yeh dil-e-beqaabu
Husn-o-malika ne woh adaa paayi

Kaise bachte hum shab-o-jaam se
Saaki ban woh mehkadaa aayi

Izhaar-e-ishq se darta tha dil
Uski nazar se na razaa aayi

Dil doz hua jaata tha humara
Uske labh par phir sadaa aayi

Fanaa hui hasti humaari
roshan karne na sanaa ayi

Karte rahe fizaa ki umeed
Tanha kar gayi jo khiza aayi

Ghayal hua yeh dil-e-beqaabu
Husn-o-malika ne woh adaa paayi

Sunday, April 23, 2006

Ab tujse door kahan jaun main

Khud se hi sharminda hun
Logoin se kya aankh milaun main
Bus jism se zinda hun
Kaise dosti mein dum laun main

Meri humraaz ko maan nahi hai
To aur kissi ko kya karwaun main
Jis ne bharosa utha diya hai
Uss jaanasheen ko kaise samjhaun main

Jiski khushi se badh na chaha kuch
Kaise uss naadaan ko yeh bataun main
Aaj teri ek chuppi se lage zakhm kaise
Meri dil-aziz, tujhse chhupaun main

mere liye yeh kitna aham hai
kaise tujeh ahsaas dilaun main
jisse khud se zyada chaha
ab tujh per kya haq jataun main

Mere lamhe lamhe ki dhadhkan
Tere ahsas se kaise bhulaun main
Mujh par kuch yakeen na kiya tune
Aei khudah, iska sabab jaan paun main.

Meelon ke fasle lambe nahi
Kaise dil ke faasle mitaun main
Dil ke haathon majboor hun
Ab tujse door kahan jaun main

Wednesday, April 19, 2006

8 dedicated hours of a Software engineer

Normal DinCharya jeene ka
Na chun chun chaiyn chaiyn karne ka
Subah 8 AM uthne ka
gaaaadhi mein naashta karne ka

Dooooor ki parking milne per
Early birds ko accuse karne ka
Phir entry gate pahunchne per
bag mein badge search karne ka

Google "bag" kab launch hoga
"G" Desktop se tulna karne ka
Life bhi computer see hoti toh
Har galat per.. Ctrl-Z karne ka

Abhi itna hi-tech nahi huyein hai
Soch kar afsos karne ka
Office corridor mein hai bande!!
Reality mein entry karne ka

Team room mein ghuste hi
Good morning wish karne ka
Ghadhi dekh ghoore jo tumko
Usse dekh andekha karne ka

Seat per comfy baithte hi
Phone/voicemail check karne ka
phir Ctrl-Alt-Del dabaa kar
Woh System unlock karne ka

Outlook check karte hi
Sab meetings accept karne ka
Calendar bhara bhara acha hai
Very busy pretend karne ka

Server jab tak start hota hai
Kuch net goofing karne ka
5-6 replies ho jaayein tab
Code ke darshan karne ka

2 ghante system ghoorne par
Lambi aahein bharne ka
"tea / coffee ?" IM aane par
"yeah chalo" reply karne ka

15 minute ki masti se
Refreshed feel karne ka
Phir waapis system ke aage
Sir khapaai karne ka

Scroll up down karte karte
Ikka dukka mouse click karne ka
Clock mein 11:30 bajte hi
Lunch declare karne ka

Khaa peekar mann ki santushti se
Phir chintan Nindra karne ka
Uff ! Kaam per so nahi sakte
So bahar sun walk karne ka

Kaafi waqt beet gaya hai
So yahoo check karne ka
Kissi ne to email kiya hoga
Issi hope mein login karne ka

New* Bulk(5) dekhne per
Zor se Empty karne ka
Saare dost tafri per honge
Honestly accept karne ka

Ek aur coffee break le lo
Meeting attend hai karne ka
Logoin ke khokhle fande sun
Chup chap ignore karne ka

Samay ruk gaya saa laage
Do tuk observe karne ka
5:30 kab bajeinge
4 PM se wait karne ka

Baj gaye 5 ab khushi khushi
Packing start karne ka
8 dedicated hours daale hain
Sincere worker!!, nahi darne ka

– Khushi

Wednesday, March 22, 2006

Dhiii - Anmol dhan (Punjabi poem)

Dhiii - Anmol dhan

Daang vargi ho gayi hai
Kudi da vyah karana hai
Munde shunde vekhne nei
Bojh sirraan to lahna hai

Maa piyo aihi sochde san
Jad hondi 18 varian dee
Samaa badal gaya ve loko
Guzar gayian oh sadian nee

Vehdhe vich peengaan khidaan waali
hun kandh naal kandh milaandi hai
bus chulah chauka saambhan waali
hun jangaan vee fateh dilaandi hai

surmei bindian laan waali hun
putran to naa ghat rahndi hai
Vich afsari maamlian de
suljeh syaane vichaar kahndi hai

vyah daaj di fikar nahi hun
maa piyo naaz uthande ne
dhi (beti) saadhi……………maan hai saadha
sir uchei, jag nu jataande ne


-- Khushi

Saturday, March 18, 2006

Ashq aur ahsaas

Ashq aur ahsaas
Ashq aur ahsaas

Izhar-e-mohabbat aashiq ka
Kar deta tha jinki rusvai
Wahi aaj uski mazaar par
Be-aabru neer bahaate hain

Chal diya, joh naaz uthata tha
Ab jeeta hai bus yaadon mein
Labh par naam nahi aataa par
Taruuf ashq karaate hain

Himmat dete samjhate thei sab
Waqt har zakhm bhar deta hai
Dil ke saare tukdhe ab bhi
Tasveer ussi ki dikhaate hain

Chashme saare sookh gaye
Par ankhein ab bhi nam rahti hain
Baharein aati jaati hain par
Mausam na dil behlaate hain

Dhundli palkein bichhati hai
Aas lagaye baithhi hai woh
Laakh bulao unko… phir bhi
Jo gaye ….. na waapis aate hain


-- Khushi